|
|
|
|
|
|
Home > Communities > Punjabi Poetry > Forum > messages |
|
|
|
|
|
|
|
Tamaam umar mujhe tootna bhikarna tha "Faraz" Wo meherbaan bhi Kahan tak samet ta mujhe ....
|
|
27 Mar 2010
|
|
|
|
Zamane ke sawalon ko mai hans ke taal doon "Faraz" Lekin nami aankho ki kehte hai mujhe tum yaad aate ho ....
|
|
27 Mar 2010
|
|
|
|
barason ke baad dekhaa ik shakhs dilrubaa sa ab zahan main nahin hai par naam thaa bhalaa sa
abaruu khinche khinche se aankhain jhuki jhuki si baatain ruki ruki si lahajaa thakaa thakaa sa
alfaaz the ke jugnuu aavaaz ke safar main ban jaaye jangalon main jis tarah raastaa sa
khvaabon main khvaab us ke yaadon main yaad us ki nindon main ghul gayaa ho jaise ke ratjagaa sa
pahale bhi log aaye kitane hi zindagi main wo har tarah se lekin auron se thaa judaa sa
agali muhabbaton ne wo naamuraadiyaan din taazaa rafaaqaton se dil thaa daraa daraa sa
kuchh ye ke muddaton se ham bhi nahin the roye kuchh zahar main bujhaa thaa ahabaab kaa dilaasa
phir yon huaa ke savan aankhon main aa base the phir yon huaa ke jaise dil bhi thaa aabalaa sa
ab sach kahain to yaaro ham ko khabar nahin thi ban jaayegaa qayaamat ik vaaqiaa zaraa sa
tevar the berukhi ke andaaz dosti ke wo ajanabi thaa lekin lagataa thaa aashnaa sa
ham dasht the ke dariyaa ham zahar the ke amrit naahaq thaa zonum ham ko jab wo nahin thaa pyaasa
ham ne bhi us ko dekhaa kal shaam ittefaaqan apanaa bhi haal hai ab logo 'Faraz' kaa sa
|
|
27 Mar 2010
|
|
|
|
Apne hi Saaye se har gaam laraz jaata hoon, Raaste me koi deewar khadi ho jaise
Manzilein door bhi hai manjilein nazdeek bhi hain, Apne hi paon me zanzeer padi ho jaise
Tere maathe ki Sikan, Pehle bhi dekhi thi magar, Yeh girah ab ke mere dil pe padi ho jaise
Kitne nadaan hain tere bhoolne wale ki tujhe Yaad karne ke likye umar padi ho jaise
Aaj dil khol ke roye hain to yun Khush hain "Faraz" Chnd lamhon ki ye raahat bhi badi ho jaise .......
|
|
27 Mar 2010
|
|
|
|
zaKhm ko phool, phool to sar, sar ko sabaa kahate hain jaane kyaa daur hai kyaa log hain kyaa kahate hain
kyaa qayaamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale ab vahi log hamen aabalaapaa kahate hain
koi batlaao ke ik umr ka bichhdaa mehboob ittefaaqan kahin mil jaaye to kyaa kahate hain
ye bhi andaaz-e-suKhan hai ke jafa ko teri Gmzaa-o-ishvaa-o-andaaz-o-adaa kahate hain
jab talak door hai tu teri parastish kar lein ham jise chhoo na saken us ko Khudaa kahate hain
kya ta'ajub hai ke ham ahl-e-tamannaa ko 'Faraaz' vo jo mehroom-e-tamannaa hain buraa kahate hain
|
|
27 Mar 2010
|
|
|
|
|
Tadap uthoon bhi to zalim teri duhayi na doon, Mai zakham zakham hoon phir bhi tujhe dikhayi na doon
Tere badan me dhadakne laga hoon dil ki tarah, Ye aur baat ke ab bhi tujhe sunayi na doon
Khud apne aapko parkha to yeh nadamat hai, Ke ab kabhi use Ilzaam E Bewafai Na doon
Mujhe bhi dhoond kabhi Mahav-E-Aainadari, Mai tera akhs hoon lekin tujhe dikhayi na doon .........
|
|
27 Mar 2010
|
|
|
|
Tujh par bhi na ho gumaan mera, Itna bhi kaha na maan mera
Mai dukhte hue dillon ka eesaa, Aur jism lahu luhaan mera
kuch roshni sehar ko to mili, Jalta hai jale makaan mera
Ye zaat ye kaayenaat kya hai, Tu jaan meri jahaan mera
Jo kuch bhi hua yehi bahut hai, Tujhko bhi raha hai dhyan mera .........
FARAZ
|
|
27 Mar 2010
|
|
|
|
ye tabiyat hai to Khud aazaar ban jaayenge ham chaaraagar royenge aur GamKhvaar ban jaayenge ham
ham sar-e-chaak-e-vafaa hain aur tera dast-e-hunar jo banaa degaa hamein ai yaar ban jaayenge ham
kya Khabar thi ai nigaar-e-sher tere ishq mein dilbaraan-e-shahar ke dildaar ban jaayenge ham
saKht jaan hain par hamaari ustavaari par na ja aise tootenge tera iqaraar ban jaayenge ham
aur kuch din baithane do koo-e-jaanaan mein hamein raftaa raftaa saayaa-e-diivaar ban jaayenge ham
is qadar aasaan na hogi har kisi se dosti aashnaai mein tera mayaar ban jaayenge ham
miir-o-Gaalib kya ke ban paaye nahin faiz-o-firaaq zam ye tha roomi-o-ataar ban jaayenge ham
dekhane mein shaaKh-e-gul lagte hain lekin dekhana dast-e-gulchin ke liye talvaar ban jaayenge ham
ham chiraagon ko to taariki se ladnaa hai 'Faraz' gul hue par subah ke aasaar ban jaayenge ham
|
|
27 Mar 2010
|
|
|
|
kaun karta hai wafaaon ke taqaaze tumse,
ham to ik jhuuthi tasalli ke talabgaar hain bas..
|
|
09 Apr 2010
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
Copyright © 2009 - punjabizm.com & kosey chanan sathh
|